uff ye bachche...
mere husband jinka nam Ram hai unke mobile ki caller tune hai
tu hi mata , tu hi pita hai,
tu hai radha ka shyam,
he ram he ram.
ise mere bete ne change karke ek alag hi gana banaya hai jo mai aapko suna rahi hu.
tu hi marta,tu hi pitta hai,
tu hai alka ka ram,
he ram he ram
aur jab usne hum sab ko sunaya to hum sab apni hansi ko rok nahi sake....